پیر، 24 جنوری، 2022

Kuchh bachchon ko completly islamic education dilana kiyun zaroori hai?

Kuchh bachchon ko completly islamic education dilana kiyun zaroori hai?
Thande dimaagh aur saf dil se padh kar samjhen!
Yeh khaas karke qaum ki us majority ke liye hai, jo na Madrase me padh rahe hain aur na Schools aur colleges me.
Ab agar 2-3 percent log Madrase me padhte hain Qur'an o Hadith ki hifazat ke liye, to log;  khas karke government unke peechhe pada huwa hai. Dhiyan us majority par dena ziyada achchha hai, jo gharon me bethe huwe hain, kuchh ghhurbat ki wajah se schools + colleges me padh nahi pate!
Picture me Maulana Sayed Arshad Madani ka yeh jumle Madrase me padhne waalon se nahi keh rahe hain; balki Aam Musalmanon se keh rahe hain ki apne bacchon ki education par dhiyan den, sirf Madrase me padhne waale hi bachhe nahi hain, is se ziyada bachche gharon me hotalon me pade huwe hain.

Islaam ki hifazat ke liye for example Apne 5 bachhon me se 1 ko ya apne mohalle me se 1 ko bhi islamic education nahi dilayen to nuqsaan aur sharam ki baat hai.

#Note: Bachchon ko sirf dekh kar (Nazra) Qur'an padha dene se yeh nahi kaha jayega ki hum ne apne bacchon ko islamic education dediya; balki kuchh logon ko completly Madrase me padhna padega; warna Musalmanon ke ander sirf naam ka islaam reh jayega aur bacha kucha islam bhi khatam ho jayega aur aahista aahista woh din bhi door nahi ki is tarah ke liberal muslims apna eimaan bhi bech den!

Read more:



کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں

مفتی اشتیاق احمد قاسمی دربھنگوی: مختصر سوانحی خاکہ

مولانا مفتی اشتیاق احمد قاسمی دربھنگوی: مختصر سوانحی خاکہ محمد روح الامین میوربھنجی       مولانا مفتی اشتیاق احمد قاسمی دربھنگوی سرزمینِ بہا...